Saturday, 8 August 2015

Saath Hamara

Shayad yahi tak tha saath humara
par khuda ki kasam tha bada pyara
kabhi haste the toh kabhi hote the gumgeen
lakin Yeh safar tha bada rangeen

shayad yahi tak tha saath humara
Par khuda ki kasam tha bada pyara
yaad rahega mujhe hamesha
woh tera muskurana
woh sharmana, nazre churana

Shayad yahi tak tha saath humara
Par khuda ki kasam tha bada pyara
woh din bhar karna baatein
aur woh tanhai bhari raatein
woh chup chup ke milna
woh bina wajha jhagadna

shayad yahi tak tha saath humara
Par khuda ki kasam tha bada pyara
agar chaha khuda ne toh phir milenge
yuhi kahi ghoomne chalenge
ab aur kya kahu pata nahi
aur kahu kya woh pata nahi
par yeh kehta jaunga
shayad yahi tak tha saath humara
agle janam mai milna zaroor dubara

No comments:

Post a Comment